Monday, July 4, 2016

355. मैं महज इस वास्ते ही आऊँगा -- कहता था वो 


मैं महज इस वास्ते ही आऊँगा -- कहता था वो
आईनों को आईना दिखलाऊँगा -- कहता था वो

हदिसों की भीड़ में गुम आज हूँ तो क्या हुआ
एक दिन सबका पता बन जाऊँगा -- कहता था वो

ये नगर जब धुंध में लिपटेगा तब सच मानिए
धूप की बनकर रिदा मैं छाऊंगा -- कहता था वो

जाते दम भी वो तसल्ली दे के यूँ बहला गया
आऊँगा इक बार मैं फिर आऊँगा -- कहता था वो

बंद है तो ठीक है, हो तुम भी ख़ुश और मैं भी ख़ुश
खोलकर मुट्ठी तुम्हें उलझाऊँगा -- कहता था वो

छोड़कर काग़ज़ की कश्ती जाने दो बच्चों को तुम
मैं हूँ 'माँझी' पार मैं ले जाऊँगा -- कहता था वो
                                        -देवेन्द्र माँझी

शब्दार्थ--1. रिदा=चादर।

(हादिसा हूँ मैं' से)

MaiN mahaj is waastey hi aauNgaa -- kahtaa thaa vo ...
AaiinoN ko aaiinaa dikhlaauNgaa -- kahtaa thaa vo ...

HaadisoN kii bheeD meiN gum aaj hooN tou kyaa huaa ...
Ek din sab ka pataa ban jaauNgaa -- kahtaa thaa vo ...

Ye nagar jab DHuNDH meiN liptegaa tab sach maaniye ...
Dhoop ki ban kar ridaa maiN chhaauNgaa -- kahtaa thaa vo ...

Jaate dam bhi vo tasallee de ke yuuN bahlaa gayaa ...
AauNgaa ik baar maiN phir aauNgaa -- kahtaa thaa vo

BaNd hai tou THeek hai, ho tum bhi KHush aur maiN bhi KHush ...
Khol kar mutTHee tumheiN uljhaauNgaa -- kahtaa thaa vo ...

ChhoRRkar Kaaghaz ki kashtee jaane do bachchoN ko tum ...
MaiN hooN 'Manjhi' paar maiN le jaauNgaa -- kahtaa thaa vo ...

                                                                   ~ Devender Manjhi

No comments:

Post a Comment