343. मन की दूरी मिटा सकोगे तुम ?
मन की दूरी मिटा सकोगे तुम ?
इतना नज़दीक आ सकोगे तुम ?
ढूँढ पाए न कोई भी तुमको
मुझमें ऐसे समा सकोगे तुम ?
खोलकर खिड़कियाँ अँधेरे की
धूप घर में बुला सकोगे तुम ?
अपनी करनी के बाद महफ़िल में
अपना चेहरा दिखा सकोगे तुम ?
शान्त सागर में आज फिर 'माँझी'
कोई तूफ़ान ला सकोगे तुम ?
-देवेन्द्र माँझी
(हादिसा हूँ मैं' से)
Man ki doorii miTaa sakoge tum ?
Itnaa nazdeek aa sakoge tum ?
DHooNDH paaye na koi bhi tumko
Mujh meiN aise samaa sakoge tum ?
Khol kar khiDkiyaaN andhere ki
Dhoop ghar meiN bulaa sakoge tum ?
Apnee karnee ke baad mehfil meiN
Apnaa chehraa dikhaa sakoge tum ?
ShaaNt saagar meiN aaj phir 'Manjhi'
Koi toofaan laa sakoge tum ?
~ Devender Manjhi
No comments:
Post a Comment