217. दीवाना चुप रहा मैं उसे बोलता रहा
-------------------------------------------------
दीवाना चुप रहा मैं उसे बोलता रहा
वो कौन-सी गिरह थी जिसे खोलता रहा
तन्हाइयों की क़ैद में तन्हाई के सबब
साया-सा मेरे चारों तरफ़ डोलता रहा
उतरा नहीं किसी भी शजर पर वो आज तक
पंछी जो इक फ़ज़ाओं में पर तोलता रहा
बूढ़ा फ़क़ीर जाने उसे दे गया था क्या
इक ज़हर-सा जवानिओं में घोलता रहा
मौजों ने जब भी बंद लगाया नदी-नदी
पतवार लेके 'मांझी' उन्हें खोलता रहा
- देवेन्द्र माँझी
शब्दार्थ--1. गिरह=गाँठ, 2. शजर=पेड़, वृक्ष, 3. फ़ज़ाओं में=वातावरण में, 4. मौजों ने=लहरों ने।
Deevaana chup rahaa mai'n usey boltaa rahaa
Vo kaun-si girah thi jisey kholtaa rahaa
Tanhaaiyo'n ki qaid me'n tanhaai ke sabab
Saaya-sa mere charo'n taraf doltaa rahaa
Utraa nahi'n kisi bhi shajar par vo aaj tak
Panchhee jo ik fazaao'n me'n par toltaa rahaa
BuDHaa faqeer jaane usey de gayaa tha kyaa
Ik zahar-saa javaaniyo'n mein gholtaa rahaa
Maujo'n ne jab bhi band lagaaya nadee-nadee
Patvaar leke 'Manjhi' unhe'n kholtaa rahaa
-Devendra Manjhi

No comments:
Post a Comment